urdu,,,,,,,,fun
mare dost ke dada ke pas bhi 2 nali wali bandooq thi aik din main or mera dost un ki chat pay patang ura rahe they k mare dost ke chacha and papa ki larai kisi muhale dar se ho gai ,,,,hum bilkul chote thay so chat se sara manzar daikhne lage ,,,,sare apni apni taqat ke mutabiq danday sote lay kar bahir bhagee,itne main dada ji ko pata nhi kiya sojhi and bole sakeena(my friend,s mother) mari bandooq lay k aa,,,(jo typical indian filmo ki tarah deewar par cross ki soorat main 2 bandooqain tangl hoi thi,,,,,,,,jab dada ji bandooq lay kar bahir gay to ham bhi pechay bhagay k ajj lagta hay dada g kuch karain ge
ghar say 100 metar kay fasle ppar dadhe sote chal rahy thay dada ji ne sab ko mutashir karne k liye kartoos bandooq main dala and fir kia but miss fire howa ,,,,,,and dada ji nay bari si gali di ,,,,,,,,,,,dobra kartoos dal then again mis fire ,,,,,dada ji ne apni si 7 ,8 try ki par bekaar hardly 8th try main nali wali roi(cotton) bahir aii to mera dost bola lay das dada ji nay cotton nikala ni sare fire kharab kar diye,,,is se pehlay k dada ji 9th try karte ,,muhalay k loog akathay ho gay and sab ko chura diya and sab whan se door lay ke jane lage to dada ji garje ,,,,,,,,,,ethay khara karo main aik aik nu pun diys gaan ,,,,,,,,,,,bas us din kay bad marte dam tak baba g kharab bandooq wale baba g kehlay,,,,,,,,,,,,,,,,ajj bhi apne dost kay ghar jata hun to mil kar dada gi ki khoob yaar karte hain and mera dost baz oqat sharminda bhi hota hay ,,,,,,,,,,,,,,so 2 nali wali bandooq jab bhi uthaoo ,,,,think that all k apke sath bh sab ho sakta hay

(ساکھ)

Post a Comment

0 Comments