Fiction



اردو
tez hawa ka jhoka aya Or fir say flag puri tarah hawa main buland huwa Sab doston ne itna shoor kiya k awaz gonji bas abhi shor ruka hi tha k asmani bijli karki or fir say shoor ( naeem k ghar bas dada ji thay jo kafi dair say sare larkon ko bura bhala keh rahay k neechay aa jao par sare bache suni unsuni kar rahe thay bc joint prob ki waja say wo chat per nhi aa saktay the, Ajj school say sare dost idhar hi aa gay the ) Sare bachay cha rahe thay k barish ho jay Or fir shart laga k adhe dost aik taraf and adhe dusri taraf ho gay K barish ho gi k nhi Wase to kia naiki koi kare ga Or kiya wo qabooliyat paye gi no body knows But jo thori bahat ki thi wo yaad dila dila k rab say barish mangte rahe Aik dafa halki si barish shuru hui or ruk gi Fir dobara say duaa karne lage k plz Allah man jao na barish ho jay to hum shart jeet jain gay Or fir barish hui or itni tez hui k hum log shart jeet gay Par shart jeetne k bad bhi khub hangama or shoor kia Sare dost barish main nahne lage koi romantic ho k ahmad Fraz k mashahoor poetry suna raha tha to koi gane gaa raha tha Barish itni shadeed thi k pura chat pani say bhar gaya, chat pay lage sang e marmar say hum slip ho k gir rahe thay or, has rahay thy Saad ko pta nhi kia achanak yaad aya or zor se bola o no or ghar bag gaya Ghar pahcha to uski ami balti say sehan say pani nikal rahi thi Room ki chat jaga jaga say tapak rahi thi Uska ka chota bhai roo raha tha Uski maa ne kaha jab say asmani bijli karki hai chup nhi kar raha Ise chup krao Ayan bhi aik balti say pani nikalne laga thori dair tak uske dost bhi uska pta karne aa gay k kyn bhaga tha or 15 mint main jis k hath jo aya sab ne mil k sare ghar say pani nikal diya Or khomosh baith gay jaise k wo gunhangar hoon Fir aik dost khamoshi ko torte huway bola k ham gunhangar hain Na Allah se ye sab magty na apka nuqsan hota To ayan ki maa haste huway uske sar par hath rakh ke boli nhi is main app ka kia qasoor hai bachoo Allah ki marzi k bagair kabhi kuch nhi hota Per kabhi kabhi hum kuch aisa cha rahay hotay hain jis say kisi dusray ka nuqsan bhi ho sakta hai So kabhi koi cheez na ho to samjh liya karo kay Allah kisi dusray ka ya app logon ka nuqsan nhi chah raha

(ساکھ)

Post a Comment

0 Comments